शनिवार, 13 मार्च 2010

kuch mere pal

namashkar dosto ..
yeh panna un kuch chote chote lamho ka hai..
jo maine samete apne safar main..
umeed karta hoon ki aap ko samajh main aaye..


mujhe nahin maaloom ki sine main kaun sa gam chupaaye baithe hai...,
bas teri hi dosti ki khushi hai main hum duniya bhulae baithe hai..
hothon pe muskaaan aate hi aata hai tera naam..
kya kare tere hi dum se khud ko jaalye baithe hai..

.........................................................................

humne zina shuru kiya ki zindagi ka carvan katam ho gaya...
jo sar utha ke aasma dekha to rasta khatam ho gaya.
hum ne jab bi shuru kiya pyar to uska safar khatam ho gaya..
jo nazar utha ke dekha tumahari aur to ehsas khatam ho gaya.
mat karna aisi baat sapne main bhi ki hamara yaarana katam ho gaya.

.........................................................................

tere karam mere liye kyun aaj mere dil ki bechaini bann gaye
aaj samajh aata hai maine kyun apni zindagi yun tabaah kar di
tune toh jeena shuru kar diya par yun mere dil ki rahat bann gaye
yun mat kiya karo sitam jise meri nazrein dekh naa paaye,
keh ke dil chodo toh samjha le, lekin yun raakh karogi toh kahan jaye.

.........................................................................

Apne dil ka haal yuhn bayaan kar du
Ki teri aarzo apne khayalo ke naam kar du…
Dil main bachi itni tishnagi tere liye
Kaise apne dile-haal yuhn bayaan kar du…
Isliye aaj mukkmal koshish karta hoon
Ki apna dil or jaan tere nam kar du…
Samajh sake toh smajh le in sahbdo ka matlab
Kya pata main yu hi apni jaan tere ishq main fanaah kar du.

........................................................................

tum yuhun khamosh ho zaaoge hame pata naa tha,
ek din mere jahan se itne door ho zaaoge pata naa tha,
tum khud aaye the apna haath badaye,
fir naa mil sakenge kabhi yun pata naa tha,
tum dil ko itni asaani se tod doge pata naa tha,
kyun aaye meri jidagi main pata nahin,
iska zawab kabhi mil sakega pata naa nahin,
ek ehsaan aur kar do.. khud kehdo lafjo main..
chale jaao, chale jaao.. chale jaao..,,

------------------------------------------------------------------------

Gham se ladte ladte sukun se dosti karna seekh lenge,
ek din toh hOga zab karva e zindgi main apna doondh lenge

------------------------------------------------------------------------

aaj phir aadha hoon main,
aaj phir akela hoon main...
jaane ye kab hogi doori khatam..
kyun naheen hoti majboori khatam,
chal raheen hai yeh rahein..
kab khatam hogi yeh aahen..
bus aaj phir aadha hoon main,
aaj phir tanha hoon main...
(10/03/2008-6:20 p.m.)

-----------------------------------------------------------------------

nayee rah dhoond raha hooon
nayee sehar khoj raha hoon
pata naheen manjil inhi rahon main hai...
pata naheen safar naseeb main hai..

------------------------------------------------------------------------

roj is kadar toota hoon phir sambhal ke bikharta hoon...
chere pe haseen liye chalta hoon, phir rone ko marta hoon...
jeene ki chah rakhta hoon, phir na kyun jaane marta hua diktha hoon..
PM 11:14 11-04-2009

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें