रविवार, 21 मार्च 2010

ho apna koi...

yeh adhoori kavita hai.. jise lage ki  woh ise pura kar sakta hai...
woh amantrit hai ise pura karne main............

samajh naheen aata wakt apna koi..
door jaake paas aane ki baat karta hai koi..

humne maanga tha bus apna koi..
khuda ko raas naa aaya, rahe apna koi..

kismat main tanhai-ya kehta har koi..
log dost ban jaate hai, aisa naseeb naheen bus koi..

khusiyo main shaamil ho aisa ho koi..
wakt dar behta ho jiska noor aisa saath ho koi..

jo saath rahe aisa hoga kaheen koi..
bus usi ki aas main jeete, kaheen to hoga koi..

शनिवार, 13 मार्च 2010

phir mile na yeh pal

tere saaye main gujaaro wakt har pal
tere sajde main jhuke yeh najar
mile tujhe khusiyaan maangu har pal..

mile teri najare karam
itni hai khwaish meri...

kisi na kaha kal kisne dekha.
phir mile na yeh pal.

mere aitbaar main khuda naheen
tune kab kaha ki ikraar naheen
shabdo ki chahat sirf mujhe aati naheen
kya karu tere phelu main bin ruke...
meri tishnagi mit paati naheen...

bus rahe teri pehchaan meri saansoun main
itni bachi ummed meri...

kisi na kaha kal kisne dekha.
phir mile na yeh pal.

mere yaar ko...

mere yaar ko..
mere pyar ko mere pyar main..
pyar na dikhe to kya kijiye..

kash ek pal uski chahat ka..
do pal uski rahat ka..
use ehsaas dilane ka..
mere pyar ne khata ki

maaloom woh khafa the
iske maayne hum bewafa na the.
unhe hum har harjaai lage..
pal main simat-ti hume duniya lage..

mere yaar ko..
mere pyar ko mere pyar main..
pyar na dikhe to kya kijiye..

himmat ki aakaash jitni...
pyas thi samandar itni..
sameta apne pyar ko..
pakka tha.. irada
na pyar karenge yaar ko

chahenge mann main
paayenge unhe har pal main..
nibhayenge yeh waada..

koi bataao
mere yaar ko...
mere pyar ko mere pyar main
pyar na dikhe to kya kijiye..

anchal bana liya hota

kash mujhe aapne apna anchal bana liya hota,
Hamesha haath thaam chalte aur kabhi gale laga liya hota,

Jab kabhi juda hotein to tere tan se to mera dil ghabrayaa hota,
Haath badakar mujhe udakar phir bhao main chupaya hota,

Kaash mujhein aapne apna aanchal bana liya hota.

Humeh acha nahin lagta

Humeh acha nahin lagta,
Sitam apno par hi karna humeh acha nahin lagta,

Gamhon se apni zindagi bharna humhein acha nahin lagta,
Mile toh ho jaaye sharike karwaan sang dil se,

Akele rah main chalna humhein acha nahin lagta,
Jise mana hai, Mane-ge nibhayenge chalan apna,

Wafa main bewaffa banana humhein acha nahin lagta,
Jalakar doosro ke ghar manate hai diwali,
Unheinh acha kehna kabhi humhein acha nahin lagta.

yaadoun ke manjar

Tumahri yado ke manzar bhikhar gaye hote,
Agar hum Aaj zamne se dar gaye hote,

Aur rahi baat yeh saahil to hameh mila hi nahin,
Nahin to kabhi ke hum kinare par utar gaye hote,

Tumne kaha tha laut ke naa aaounge phir kabhi,
Kyoun aaj phir khayalo main chupke se aa gaye,

Pyar main dhokha dena to humhein gavara nahin hota,
Jis tarah samudra ke bhicho-bheech doobti hui kishti ke liye koi kinara nahin hota,

Puja tha jinko humnhe bafoun ke phoolo se,
Wah apna daman bacha ke jurm ke pathar gira gaye.

mere khaas ke liye..

ek os ki boond simat-ti meri ankhoun se..
bus tera noor chalakta meri palkoun se

kaise baandhoun tujhe in shabdo main
yeh soch ke bhula deta apne lafjo main...

kaise tujhe bayan karu apne khawabo se..
yeh sach sajane rehta teri rahoun se

ek os ki boond simat-ti meri ankhoun se..
bus tera noor chalakta meri palkoun se

tera jikr hai meri har shaam main
teri fikr hai meri har saans main..

tu hi roshni.... mere jindgi karwaan main.
tu hi aas... meri har saanse ehsaas main.

ek os ki boond simat-ti meri ankhoun se..
bus tera noor chalakta meri palkoun se

meri talash ho tum.. jo beete na kabhi woh aas ho tum
raho sada mere samne.. jo lamha muddat se mile wo agaaj ho tum...

kuch aisa kahun yeh soch ke likhta hoon..
phir aaj yeh nakaam koshish karta hoon...
kaise bandhoun tujhe shabdo main
yeh soch ke bhula deta apne lafjo main..

ek os ki boond simat-ti meri ankhoun main..
bus tera noor chalakta meri palkoun se

kuch mere pal

namashkar dosto ..
yeh panna un kuch chote chote lamho ka hai..
jo maine samete apne safar main..
umeed karta hoon ki aap ko samajh main aaye..


mujhe nahin maaloom ki sine main kaun sa gam chupaaye baithe hai...,
bas teri hi dosti ki khushi hai main hum duniya bhulae baithe hai..
hothon pe muskaaan aate hi aata hai tera naam..
kya kare tere hi dum se khud ko jaalye baithe hai..

.........................................................................

humne zina shuru kiya ki zindagi ka carvan katam ho gaya...
jo sar utha ke aasma dekha to rasta khatam ho gaya.
hum ne jab bi shuru kiya pyar to uska safar khatam ho gaya..
jo nazar utha ke dekha tumahari aur to ehsas khatam ho gaya.
mat karna aisi baat sapne main bhi ki hamara yaarana katam ho gaya.

.........................................................................

tere karam mere liye kyun aaj mere dil ki bechaini bann gaye
aaj samajh aata hai maine kyun apni zindagi yun tabaah kar di
tune toh jeena shuru kar diya par yun mere dil ki rahat bann gaye
yun mat kiya karo sitam jise meri nazrein dekh naa paaye,
keh ke dil chodo toh samjha le, lekin yun raakh karogi toh kahan jaye.

.........................................................................

Apne dil ka haal yuhn bayaan kar du
Ki teri aarzo apne khayalo ke naam kar du…
Dil main bachi itni tishnagi tere liye
Kaise apne dile-haal yuhn bayaan kar du…
Isliye aaj mukkmal koshish karta hoon
Ki apna dil or jaan tere nam kar du…
Samajh sake toh smajh le in sahbdo ka matlab
Kya pata main yu hi apni jaan tere ishq main fanaah kar du.

........................................................................

tum yuhun khamosh ho zaaoge hame pata naa tha,
ek din mere jahan se itne door ho zaaoge pata naa tha,
tum khud aaye the apna haath badaye,
fir naa mil sakenge kabhi yun pata naa tha,
tum dil ko itni asaani se tod doge pata naa tha,
kyun aaye meri jidagi main pata nahin,
iska zawab kabhi mil sakega pata naa nahin,
ek ehsaan aur kar do.. khud kehdo lafjo main..
chale jaao, chale jaao.. chale jaao..,,

------------------------------------------------------------------------

Gham se ladte ladte sukun se dosti karna seekh lenge,
ek din toh hOga zab karva e zindgi main apna doondh lenge

------------------------------------------------------------------------

aaj phir aadha hoon main,
aaj phir akela hoon main...
jaane ye kab hogi doori khatam..
kyun naheen hoti majboori khatam,
chal raheen hai yeh rahein..
kab khatam hogi yeh aahen..
bus aaj phir aadha hoon main,
aaj phir tanha hoon main...
(10/03/2008-6:20 p.m.)

-----------------------------------------------------------------------

nayee rah dhoond raha hooon
nayee sehar khoj raha hoon
pata naheen manjil inhi rahon main hai...
pata naheen safar naseeb main hai..

------------------------------------------------------------------------

roj is kadar toota hoon phir sambhal ke bikharta hoon...
chere pe haseen liye chalta hoon, phir rone ko marta hoon...
jeene ki chah rakhta hoon, phir na kyun jaane marta hua diktha hoon..
PM 11:14 11-04-2009

muddat

din gujre mahine gujre
par bhula na sake tumko,

muddto baad kwaish ki hai dil ne,
kya kaafir wajah thi yeh bata sakoge humko,

dost ke naate hi sahi,
par hum bhula na sake tumko,

nasamajh hum naheen ki na samjhe zamane,
itna na-samajh na samjho humko,

hum apne dil ko mana lenge,
par woh kaafir wajah bata sako humko...

khilona samajh ke khel lena
ji bhara tab chod ke dil tod dena,

aasma bahut vishal hai..
par sehna na pade kabhi sab yeh tumko,

tum ajnabee ho ke ji sako,
par hum gair hoke kaise jiye,

yeh bata sakoge humko...
mahine gujrenge saal gujrenge,
par ab yaad nahien kar sakenge tumko..

Meri pyaar ki haqekat

Meri pyaar ki haqekat zara aajma ke dekho,
Kabhi door jake dekho kabhi paas paas aake dekho.

Mera dil nahin hai logoun rait ka koi gharondaa,
Jo kabhi bana ke dekho kabhi mita ke dekho.

Hoon main shama jiske kismat hai ek raat jina,
Naa yun pyar ki nazar se mujhe muskara ke dekho

Jo mahak se ghar ko bhar de bahi phool hai muhabbat,
Kabhi apne dil ke ghar main isein tum saza ke dekho

khuli chat par chaandni main koi yaad jab satyein
To meri Gajal ki yeh Panktiyaan Gungana ke dekho

mere pyar ki haqekat............................